Monday, 6 August 2007

na jaane kyun.....ye jaanu na!!

kuch alag si baat thi
ab ek naya sa ehsaas hai
na jaane kyun
ye jaanu na

chahe chhoti si mulakat thi..

kasak ab bhi saath hai
na jaane kyun
ye jaanu na

bhutton ke dano me
ek gazab mithaas thi
na jaane kyun
ye jaanu na

dhadkte dil ko, ucche ucche jhoolon par
laut aaye bachpan se jawaani ki talash hai
na jaane kyun
ye jaanu na

waqt ojhal hua aise ke kya bataoon
ab to phir milan ki aas hai
na jaane kyun
ye jaanu na