Showing posts with label Poet-in-Me. Show all posts
Showing posts with label Poet-in-Me. Show all posts

Monday, 6 August 2007

na jaane kyun.....ye jaanu na!!

kuch alag si baat thi
ab ek naya sa ehsaas hai
na jaane kyun
ye jaanu na

chahe chhoti si mulakat thi..

kasak ab bhi saath hai
na jaane kyun
ye jaanu na

bhutton ke dano me
ek gazab mithaas thi
na jaane kyun
ye jaanu na

dhadkte dil ko, ucche ucche jhoolon par
laut aaye bachpan se jawaani ki talash hai
na jaane kyun
ye jaanu na

waqt ojhal hua aise ke kya bataoon
ab to phir milan ki aas hai
na jaane kyun
ye jaanu na

Sunday, 1 July 2007

sunday ki woh dopahar ....

woh AP bhawan ke spicey khane ko shi-shi karke khaana
uska phone par jhallana, fir muskurana, fir has kar batana

woh garm dopahri me, CP ka chakkar lagaana
poonch kar logo se rasta, fir se bhool jaana

daana chogte kabootaro, ko bhaag kar udhaana
dekh kar logo ki harkatain, silly si baatain banana

ice-cream ke cone se, tapakti choco-chips ka chaatna
fir apni masoom ankahi-adhoori si love story usko batana

tez gaadi chalaana, koshish thi usko daraaana
fir saame se aata truck dekhkar, khud hi dar jaana

uska mujhko fir se milne ke liye majboor karna
woh mera sharmaana, muskurana aur fir itraana

khoobsoorat, june ke dopar thi woh
nahin chaoonga main, usse bhool jaana

main koi shayar nahin hoon doston
yeh to hai bas mera ek chota sa afsaana